Thursday, September 21, 2023

Coronavirus ke Lakshan Aur bachne ke Upay

Coronavirus Kya Hai

Aaj ye topic her Kisi ke zaban per hai, but her kisi ko iski sahi jankari nahi hai, kuch ko hai bhi to thodi bahut aur Kuch ko to ye Sirf ek discussion ka topic lagta hai base,….wise short me hum isko covid -19 bhi bolte hain, ab isko short bolo ya fir ye bolo ki pyar se hum isko covid-19 bolte hai, hum insano me itna pyar hai ki hum bimari ko bhi pyar se naam de hi dete hain… chaliye hum bhi thoda charcha kercha kerte hai but sahi jankari ke sath,
Pahele jaan lete hai ki ye hai kya aur aaya kahan se …… Coronavirus ek aisa virus hai jo chote chote symptoms se apne aap ko introduce karwata hai jisme halki khansi se leker sans lene me problem tak dekha gaya hai, ye china se aaya hai, per dhire dhire isne apni raftar aise tez ki, ki pura world hi aaj iski chapet me hai….chaliye iske symptoms k bare me jante hai.

इसे भी पढ़े:- किडनी खराब होने के शुरुआती लक्षण 

Coronavirus
Coronavirus

Coronavirus ke Shuruaati Lakshan

suruwat me hume kuch pta ni chalta aur hum normal hi rahete hai but jab ye hume ho jada hai to 4 se 5 din me ye apne symptoms hume dekhata hai aur 14 se 15 din me ye apne symptoms se confirm kerta hai,taki hum iska test kerwa ker confirm ker sake ,,,….iske symptoms hain….

1….Halka fever
2…Khansi
3..cold
4…sirdard
5…thakaan
6…body pain
7…smell and taste ka na milna
is sare symptoms per hume dhayan dene ki jarurat hai aur kuch baton ka khas khayal rakhna hai jaise

Coronavirus ke Shuruaati Lakshan
Coronavirus ke Shuruaati Lakshan

Coronavirus se Bachne ke Upay

1.. gher per hi rahena ,baki pariwaar ke members se doori bna ker rahena hai
2…her thodi der me apne hath soap se dhona hai aur achi tarah se dhona hai
3….mask laga ker rakhna hai,
4,..khasnne ya chikne se pahele apna muh aur naak apne hath se cover kerna hai
5…chikne aur khasne ke baad hathon se naak kaan ya muh ko na chuyen,
6..chikne aur khasne ke baad turant apne hath dhoyen..

gher per hi rahene me samjhdari hai, , zada ghabrane ki jarorat ni hai,…bas thoda se dhayan dene se is musibat se baher aa sakte hai,ghabrane se situation aur bigad sakti hai…

In sab ke alawa chest pain aur sans lene me problem ho rahi ho to ye serious matter ho jata hai,us time per hume doctors se contact kerna jarori ho jata hai.

Coronavirus se kaise bachen
Coronavirus se kaise bachen

Coronavirus ka Desh par Prabhav

covid-19 aaj pure world me apna pair faila chuka hai
aaj pure world me iske 16,849,365 cases hain…. jisme ki…. 662,648 death cases hai ….aur 9,836,182 recoverd hue hain,

apne desh k bare me baat karen to…

1,531,669 cases aur 34,193 deaths, 988,029 recover hue hai ….(according to johns hopkins university,)
cases 1,584,384, deaths..35,003,recovered 1,021,611,,,(accordng to worldometers last update 29 july 2020 11 pm)

cases recovered deaths

maharashtra… 391k 232 14,165
tamil nadu 28k 167k 3,659
delhi 32k 118k 3,881
andhra pradesh 10k 52,622 1,148
karnataka 07k 40,504 2,055 ……source..wikipedia about this data

Coronavirus ka Ilaj

pahele situation bahut kharab thi but ab thodi thodi sudhrne lagi hai,aur insab ka credit humare yodhawon ko jata hai jaise ki doctors,nurse aur baki jo bhi medical se related workers hai, police wale,safai krne wale,aur jo volunteers hai jinhone is mahamari ke samaye aage aaker logo ki maddat ki hai aur abhi bhi ker rahe hai,insabko humari taraf se sukriya ,dhanyawaad,aap sab ne is waqt me jab hume apne khas logo se bhi door rahena pad raha hai taki sab surakshit reh sake aise waqt per aap sab ne apni ya apne pariwaar ki parwah na kerke ke pure desh ke bare me socha aur aur apni jaan ko khatre me daal ker sab ko thik kerne ki kosis ker ne me lag gaye ,aap sab ko dil se dhanyawaad ,shat shat naman,aap sab ne ye bata diiya ki ager bhagwaan kahin hai to wo yahin dharti per hi hain,hum sab sath mil ker ager is situation me ek dosre ka sath de to bahut jaldi hi sab kuch thik ho jayega aur hum wapas se apni apni life ko apne tareke se aazadi ke sath ji sakenge….
waise pura world iski dava banne me laga hua hai aur hume umeed hai k ijaldi hi safalta bhi mil hi jaygi
kyunki kisis bi problem ka solution mumkin hai haan thoda samay jaor lag raha hai but wo kehte hain na ki intezaar ka fal meetha hota hai,to bas hume thoda intezaar kerna hoga fir sab kuch acha hi hoga..kyunki ye virus chahe jitna bada aur daarwna kyun na ho ….hum insan rupi virus se zada khaternaak ni ho sakta…

RELATED ARTICLES

Most Popular

Recent Comments